Lyrics of song
Ek Bewafa Ko Dil Ka
Lata:
ek bewafa ko dil ka sahaara samaj liya
paththar ko ham ne aankh ka taara samaj liya
Talat:
ek bewafa ko dil ka sahaara samaj liya
dushman ko ham ne jaan se pyaara samaj liya
Lata:
apana hi tha qusoor jo,toofaan men ghir gaye-2
ek mouj thi ki jis ko kinaara samaj liya
paththar ko ham ne………….
Talat:
jaadoo bhari nigaah ke dhoke men aa gaye-2
bhoole se apane dil ko,tumhaara samaj liya
dushman ko ham ne……………
Both:ek bewafa ko dil ka sahaara samaj liya
Talat:dushman ko ham ne jaan se pyaara samaj liya