Lyrics of song

Tere Sadke Balam

tere sadke balam na kar koi gam
ye sama ye jahaan phir kahaan
ho, tere sadke balam na kar koi gam

din hain suhaane, phir kaun jaane aaye na aaye bahaar
tu gam ko peele, dam bhar ko jeele, duniya ka kya aaitbaar
ho jee, piyaa, duniya ka kya aitbaar
tere sadake balam…

kaanton mein daaman uljhe na saajan phoolon mein hanske guzaar
thodi hansi hai, thodi khushi hai, dukh zindagi mein hazaar
ho jee, piyaa, dukh zindagi mein hazaar
tere sadke balam…

naiya milan ki maujen pavan ki, kehti hain mujhko pukaar
gaata chala chal, hansta chala chal, jeevan ki nadiya ke paar
ho jee, piyaa, jeevan ki nadiya ke paar
tere sadke balam na kar koi gam
ye sama ye jahaan phir kahaan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *