Chandni
Chandni aasman pe hai nahin woh to hai yahin kahin, khushnaseebi hoo
Palki chaand ki chali wahan, aayi hai dulhan yahan, khushnaseebi
Woh kal tak jo door the, unka hi noor hai, roshan hui dil ki zameen hoo
Chandni aasman pe hai nahin woh to hai yahin kahin, khushnaseebi
Nazuk honthon pe kaatil hassi hai, nigahein hai teer si
Shabnam mein adaayein sholon si hai, tu hai rango mein rangi
Ab rang le tu pyaar ka, dil le dildaar ka
Shaam o sehar ho bekhudi hoo
Chandni aasman pe hai nahin woh to hai yahin kahin, khushnaseebi
Khushnaseebi, khushnaseebi
Taarefon pe bhi na aise sharamao, nazarein milne bhi do
Parde mein hai aake aankhon se tum, baatein hone bhi do
Arrey pehla ye pyaar hai, pyaar ka deedar hai
Tumse hui hai aashique hoo
Chandni aasman pe hai nahin woh to mere saath hai, khushnaseebi hoo
Palki chaand ki chali wahan, aayi hai dulhan yahan, khushnaseebi