Aye Dost
Aye dost, hass ke zara sab se mil
Toofan hi mile ya sahil
Khafa hone se kya haasil, hass ke tu mil
Ye duniya ka khela, hai haar jeet ka rela
Tu har haal mein gaate jaana ooo
Aye dost, hass ke zara sab se mil, hass ke tu mil
Thokar se kaanpe chalenge phir kya, anjaam soche padenge phir kya
Gum se jo seheme hassenge phir kya, jaane ka darr ho jeenge phir kya
Ye duniya hai funny, par jeena hai phir bhi jaani
Tu har haal mein gaate jaana ooo
Aye dost, hass ke zara sab se mil, hass ke tu mil
Ye zindagi hai hassi rehguzar, gum aur khushi raah mein dosh hai
Dono mein kuch pal to thehre ga tu, behtar hai gum se bhi hass ke guzar
Hai do lakh abhi baasha, ye ajab ajab tamasha
Tu har haal mein gaate jaana ooo
Aye dost, hass ke zara sab se mil, hass ke tu mil
Nakamiyon ko tu heraan kar, mauisyon ko pareshaan kar
Himmat ka apni hi le imtehaan, kuch pal andhera ho bilkul na darr
Woh roshan ye chehra, bas khila khila sa yaara