Thok De Killi
Thok di killi, thok di killi
Ke door nahin hai, chalega dilli
Sabko bure aankh dikhaye tanashai darre darraye
O bhagad billi, o thok di killi
Tu maar de danda, udha de killi
Itraye vitraye jab bhi hadd se aagey sadme aaye
Aag mein kaala kaajal, oye naak mein nathi, kaan mein jhumka
Paon pehene bichua aur dhanye bhanye maare thumka
Aase paase sabko bure dekhe aur dikhaye dever
Mujre ka nazrana maange, heeray panne nakdi zevar
Bichde bichde keh gayi humko khoob udaye khilli dilli
Jhoothi sachchi seheli, dumri kajri jo bhi kehli
Humne ek tihagi li ghungroo jod ke chatt par tehli
Jhoothi hai makkaar nachaiya, na koi maadi na koi maiya
Boondh boondh ke kapat bara main dil behlata ta tha thaiya
Bichde bichde keh gayi humko khoob udaye khilli dilli
O thok di killi, o thok di killi
Ke door nahin hai, chalega dilli
Raat ka maal, raaton ne lutaa
Chaand taaron ke guchche churaye
Din nikalna tha, apna bhi nikla
Kisme dum hai ke suraj bujaye
Kisme dum hai ke suraj bujaye
Aaja milke baithe, haal sunawe dil ka
Dilon ko khaate gaye, gum ko pehnke chilka chilka
Bichde bichde keh gayi humko khoob udaye khilli dilli
Sehte sehte ab to gardan ghar tak tar jaate hain
Choti ho gayi kabarein, bin mundi bhi marr jaate hain
Sadiyon se chalta aaya hai ooch neech ka lambha kissa
Ab ki vaar hisaab chuka le, cheen ke le le apna hissa
Apna khoon bhi laal hi hoga, khol ke dekh le khaal ke jhilli
Thok thok thok di killi, o thok di killi
Ke door nahin hai, chalega dilli
Sabko bure aankh dikhaye tanashai darre darraye
O thok di killi, o bhagad billi
Ke door nahin hai, chalega dilli
Sabko bure aankh dikhaye, sabko bure aankh dikhaye, sabko bure aankh dikhaye
Tanashai darre darraye