Chala Aaya Pyar
Khwaabon ki lehrein, khushiyon ke saaye
Khushboo ki kirne, dheeme se gaaye
Yahi to hai humdum, woh saathi, woh dilbar, woh yaar
Yaadon ke naazuk paro pe chala aaya pyaar
Chala aaya pyar, chala aaya pyar
Khwaabon ki lehrein, khushiyon ke saaye
Khushboo ki kirne, dheeme se gaaye
Yahi to hai humdum, woh saathi, woh dilbar, woh yaar
Yaadon ke naazuk paro pe chala aaya pyaar
Chala aaya pyar, chala aaya pyar
Mohabbat ka dariya ajooba niraala
Jo tehra, woh paaya kabhi na kinaara
Mohabbat ka dariya ajooba niraala
Jo tehra, woh paaya kabhi na kinaara
Jo bekhauf dooba wahi to pahunch paaya paar
Yaadon ke naazuk paro pe chala aaya pyaar
Chala aaya pyar, chala aaya pyar
Kabhi zindagi ko sanwaare sajaaye
Kabhi maut ko bhi gale se lagaye
Kabhi zindagi ko sanwaare sajaaye
Kabhi maut ko bhi gale se lagaye
Kabhi jeet uski hai sab kuch gaya woh jo haar