Aana Dobara
Beeta Hua Pal Kabhi Gujarta Nahi
Woh Sehma Hua Sa Baitha Rehta Hai
Raaste Ke Kisi Pichle Mod Par Zinda
Uske Bhi Jazbaat Hote Hai
Aur Kutch Armaan Bhi
Gujar Toh Main Jaata Hu
Kisi Musafir Ki Tarah
Aur Woh Beeta Pal Wahi
Meri Raah Takta Kisi Ped Ki Tarah
Yeh Aawaz Bhi Aaise Hi Kisi Pal Ki Hai
Jo Baitha Hai Kahi Ird Gird Mere Pitchle Manzil Ke
Meri Jaan Kahi Bhi Jaa- 2
Bas Sambhal Ke Jana – 2
Yahi Pe Khada Hai Ghar Tera – 2
Aanaa Dobara – 3
Meri Pitchli Manzil Jahan Pe Main Ruka Tha Thodi Der
Aur Socha Tha Ke Zindagi Yahi Ruk Jaayegi
Lekin Shuru Hona Meri Kismat Thi
Aur Chalte Rehna Fitrat
Yeh Album Yeh Nagmein Yeh Issi Raastein Mein Miley
Kutch Khubsurat Chizen Hain Jara Dekhe Inmein Se Koi Aapki Toh Nahi
Aanaa Dobara – 3