Jaane Na Koyi Pehchaane Na Koyi
jaane na koyi, pehchaane na koyi – 2
humko raaste mein dekho jaana kitni dur
kisise hume koyi aas nahi
kisiki hume koyi pyaas nahi
humko samajho paagal ya toh bolo magroor
jaane na koyi, pehchaane na koyi – 2
(sanbhal sanbhal ke iss raah pe chalna huzoor
bhale koyi bhi tumhein kare yahaan majboor) – 2
jaana hai dur iss raah pe
milna jaroor uss paar se
jahaan kabhi koyi gaya, na koyi jaayega
aur jo gaya toh, tum yeh jaano ke woh main hunga haan hoon
jaane na koyi, pehchaane na koyi – 2
humko raaste mein dekho jaana kitni dur
(kabhi kabhi yeh bhi hai laga, ke sab hai fuzul
yahaan jo hota hai wo hame nahi hai kubul) – 2
par yeh na bhool, ki tu kaun hai
tu woh nahi, aur wo tu nahi
toh fir kaisa ghabaraana, kaisa hai darr jaana
humko bas aage, aage jaana, jaate jaana hai jaroor
(jaane na koyi, pehchaane na koyi – 2
humko raaste mein dekho jaana kitni dur) – 2