Do Nishaaniyan
Ek dor se bandhi kaise do kahaniyan
Ek taar se judh gayi kaise yeh do zindgaaniyan
Iss phone ke saaz par meri awaaz bhar mujhpe hansti hai khamoshiyan
Mere chehre ki do nishaaniyan – 4
Kis ki nawazish hui rookhi si zindagi par
Halki si baarish hui sookhi si zindagi par
Hai khauf ke na chura le koi kal
Mere aasmaan se yeh chori ke baadal
Churaye se meherbaaniyan
Mere chehre ki do nishaaniyan
Maana ke naazil nahi hona tha yeh farishta
Maana ke haasil na hona tha hum ko yeh rishta
Lagey khoobsurat mujhe ab khuda tu
Farishte se mere na karna juda tu
Mita de yeh badgumaaniyan
Mere chehre ki do nishaaniyan
Ek dor se bandhi kaise do kahaniyan
Ek taar se judh gayi kaise yeh do zindgaaniyan
Iss phone ke saaz par meri awaaz bhar mujhpe hansti hai khamoshiyan
Mere chehre ki do nishaaniyan – 3
Do nishaaniyan