Faani Dayar
Goonjti hai jo seenay mein kahin
Goonjti hai jo seenay mein kahin
Dabi khamoshiyan sargoshiyan jalti tishnai
Yahan jo aaj hai wayi saans hai jee loon zindagi
Pee jaa dariya saare, chakle chaand sitaare

Takiya baadal ka hai, so ja pankh pazaare
Amrit ghat mein
Koont hazaar dokha sab sansaar faani dayar hai
Dokha sab sansaar faani dayar hai – 3 times
Hai talaash jiski talaash, woh hai kahan dhunda jahan
Meri aarzoo meri justuju, main kaun hoon aur hoon kahan

Pee jaa dariya saare saathi, chakle chaand sitaare saathi
Takiya baadal ka le ke tu, so ja pankh pasaare saathi

Soch le yeh kahani teri
Soch le hai rubaani teri
Tu hi banda tu hi maula tera
Anhat teri kismat
Dokha sab sansaar faani dayar hai – 4 times
Ek khwaab hai soya hua, aadha sa woh jaaga hua
Main kaun hoon iss neendh ki, aagosh mein khoya hua

O bande
Dokha sab sansaar faani dayar hai – 4 times
Hai talaash jiski talaash, woh hai kahan dhunda jahan
Meri aarzoo meri justuju, main kaun hoon aur hoon kahan
Ek khwaab hai soya hua, aadha sa woh jaaga hua
Main kaun hoon iss neendh ki, aagosh mein khoya hua
Aankhon mein meri jaaliyan
Aur tez dum bharti hui
Yaadon ki dhundali aandhiyan