Geet Mein Dhalte Lafzon Mein
Geet mein dhalte lafzon mein
Taal pe chalti nabzon mein
Naya kuchh naya to zaroor hai
Shaam se leke sehron mein
Dhoop jadi duphero mein
Naya kuchh naya to zaroor hai
Kya baat hai jo baat hai taaza lagey
Zindagi ki nayi nayi faza lagey
Haan yeh umango se poora hua seena hai (seena hai ..)
Lamha yeh maanga nahi, isse humne cheena hai (cheena hai ..)
Yunhi jeena hai
Dhool jami thi aankhon mein
Khwab khile ab lakhon mein
Naya kuch naya to zaroor hai
Dard ki baatien kal ki hain
Aaj mein khushiyan chalki hain
Naya kuch naya to zaroor Hai
Jebon mein hum raatein liye ghuma kare
Fursat ke yeh mauke sabhi jhuma kare
Haan yeh umango se poora hua seena hai (seena hai ..)
Lamha yeh maanga nahi, isse humne cheena hai (cheena hai ..)
Yunhi jeena hai
Andheri mein hai nayi garmiyan
Junoon sakht hai gayi narmiyan
Hai dilchasp yeh aag si (aag si)
Mitenge nahi yaad se (yaad se)