Lafangey Parindey
Yeh parindey, shehar ke bande, lafangey parindey
Zindagi se yeh lete pangey, lafangey parindey
Udte phirte azaad mast
Har mushkil ko karte hain bast
Rozana maut se lapak japak
Khatron se khelna inki sadaa
Oh yeh saaf kabhi yeh gande, lafangey parindey
Angaar ki tarah aag ugalta jigar hai
Ek khwaab mila toh dooje khwaab pe nazar hai
Inhe rok na paya koi, ho raah mein jitne rodey
Masti ke nashe ke aashiq, khule hain saare ghode
Udte phirte azaad mast
Har mushkil ko karte hain bast
Rozana maut se lapak japak
Khatron se khelna inki sadaa
Oh yeh saaf kabhi yeh gande, lafangey parindey
Nas nas mein sheher ki ban ke lahu yeh daude
Jis taraf ho marzi raah ko apni modein
Chaabi to nahi hai milti, kismat ke taale todein
Raftaaron ke yeh aashiq, khule hain saare ghode
Udte phirte azaad mast
Har mushkil ko karte hain bast
Rozana maut se lapak japak
Khatron se khelna inki sadaa
Oh yeh saaf kabhi yeh gande, lafangey parindey
Haan yeh saaf kabhi yeh gande, lafangey parindey
Lafangey, parindey