Magar Kuch To Hai
Dono ki aankhon mein jagmagaati hai jo
Woh shararat nahin hai, woh shararat nahin hai
Magar kuch to hai, magar kuch to hai, magar kuch to hai
Dono ke chehre pe rang laati hai jo
Maana ulfat nahin hai, maana ulfat nahin hai
Magar kuch to hai, magar kuch to hai, magar kuch to hai
Kaun si baat hai jo nigahon mein hai
Kya hai jo khamoshi ki panahon mein hai
Dono chahatein hain ki milte rahe
Kya ye pehla kadam dil ki raahon mein hai
Dono ko har gadi paas laati hai jo
Maana chaahat nahin hai, Maana chaahat nahin hai
Magar kuch to hai, magar kuch to hai, magar kuch to hai
Dhadkane tez hain saans bhi garam hai
Jo hawa hai chali kitni woh naram hai
Dono mein paas aake bhi hain faasle
Inko inkaar hai ya koi sharam hai
Dono ke honthon pe machle jaate hain jo
Woh ijaazat nahin hai, haan woh ijaazat nahin hai
Magar kuch to hai, magar kuch to hai, magar kuch to hai
Dono ki aankhon mein jagmagaati hai jo
Woh shararat nahin hai, woh shararat nahin hai
Magar kuch to hai, magar kuch to hai, magar kuch to hai