Pyar Hi Toh Hain
chal rahi hain raahein meri main bhi chal raha hu
main na jaanu yeh dil hi jaane kaha main jaa raha hu
har taraf mehki fizzayen
har sada mujhe bulaaye
dil mein mere kutch ho raha hain
aankho mein bhi halka nasha hain
saanso ne yeh kutch aaise kaha hain
pyar hi toh hain aur kya hain – 2
jaadu hua hain kaisa jaadu
mehfil mein bhi dil na lage
tanhai dulhan si lage
khusbu yeh bheeni bheeni khushbu
uska hua aaisa asar
mehka mera jahaan
apne lage saare najaare
sapne lage phir bhi yeh saare
dil mein mere kutch ho raha hain
aankho mein bhi halka nasha hain
saanso ne yeh kutch aaise kaha hain
pyar hi toh hain aur kya hain – 2
baatein woh meethi meethi baatein
unhe sunte hi main kho jaau
dil chahe unki ho jaau
raatein woh thandi thandi raatein
bas odh ke so jaau mein
taaro ki yeh chadar
nazarein kayi muhjhko hain ghere
neendein meri sapne hain tere
chal rahi hain raahein meri main bhi chal raha hu
main na jaanu yeh dil hi jaane kaha main jaa raha hu
har taraf mehki fizzayen
har sada mujhe bulaaye
uski nazar ka hain asar
khwabo se ham jud gaye
rioshta naya hain yeh koi
naa main jaanu na woh jaane
dil mein mere kutch ho raha hain
aankho mein bhi halka nasha hain
saanso ne yeh kutch aaise kaha hain
pyar hi toh hain aur kya hain
dil ne mere
aankho ne bhi
saanso ne yeh kutch aaise kaha hain
pyar hi toh hain aur kya hain