Reham O Karam
Aaj phir din hua, phir armaan jagne lagey
Chahatein uthi nayi, lo seenay mein benaam si
Khwaahishein dabi hui, kayi dil mein kayi
Kya hua kyun bhala, dil mazaaron se ho gaye
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do ishaara
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do khudara
Tere bina sardi mein woh garmi si na rahi
Na garmi mein hai tere pyaar ki thandak
Hoo tere bina badle saare mausam kyun iss tarah
Kuch bolo, lab kholo, do yeh bata
Taras gayi, baras gayi ab yeh nazar
De do mujhe zindagi nayi
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do ishaara
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do khudara
Dekhun na, tere bina aaj lagun tanha main
Jaise hoon, toota hua waqt se ek lamha main
Hoo aake tu mana le, hass le hassa le
Rootha rootha jee na paunga
Yaadein sabhi yeh poonchein har ghadi
Tere kyun hain bata aansu chalke
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do ishaara
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do khudara