Lyrics of song

Rehna toh hai

Alka:
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin -2
Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan 

Sanu:
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin

Aankhon mein hai ek daastaan, khaamosh hai meri zubaan
Kaise tujhe samjhaaun main, haalaat ki majbooriyaan
Main is tarha se khud ko saza doon
Saanson ki jalti shama main bujha doon
Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin
 
Sanu:
Tune mujhe dhokha diya, kehna sakoon aisa kiya
Bikhre sabhi sapne mere, kis bhool ka badla liya
Tootegi mere ashqon ki ladiyaan
Tadpegi tu bhi gin-gin ke ghadiyaan
Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin

Alka:
Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin

Sanu:
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin
Mumkin nahin -3

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *