Sadka
Kuch khwab dekhe hai, kuch rang soche hain
Ab maine kal apne tere sang soche hain
Iss raah mein jab bhi, tu saath hoti hai
Kisson ke panno si har baat hoti hai
Rooh jo huyi meri fida, toh pal mein uthi koyi sada
Ke dil se huya judaa judaa, toota main iss tara
Sadka kiya yun ishq ka, ke sar jhuka jaha, deedar huya

Tere mudne se suraj udh gaya
Teri roshni ke saaye mein main dhoop si khili
Mera aasman bhi chota padh gaya
Mujhe jab se hai baahon mein teri panah mili
Woh thehri teri adaa adaa, ke ruk bhi gaya mera khuda
Toh mujhpe yeh asar huya, toota main iss tarah
Sadka kiya yun ishq ka, ke sar jhuka jaha, deedar huya
Sadka kiya yun ishq ka, ke sar jhuka jaha, deedar huya
(kuch khwab dekhe hai, kuch rang soche hain, ab maine kal apne .. )
Teri khushbu mein bheegay khat mile
Tere rang ki siaahi se likhe, padhe sune
Teri baaton ke woh saare silsile
Meri dil ki kahani si suni kahin bune
Main kar na sakun bayaan bayaan, ke chup si huyi meri zubaan
Yeh dil mehmaan huya huya, toota main iss tara