Sajde
Sajde kiye hai lakhon, lakhon duayein maangi, paya hai maine phir tujhe
Chahat ki teri maine, haqq mein hawayein maangi, paya hai maine phir tujhe
Tujhse hi dil yeh behla, tu jaise kalma pehla
Chahun na phir kyun main tujhe
Jis pal na chaha tujhko, uss pal sazayein maangi, paya hai maine phir tujhe
Sajde kiye hai lakhon, lakhon duayein maangi, paya hai maine phir tujhe
Jaane tu sara woh, dil mein jo mere ho, padh le tu aankhein har dafa
Hoo jaane tu sara woh, dil mein jo mere ho, padh le tu aankhein har dafa
Nakhre se na ji bhi hote hain raazi bhi, tujhse hi hote hain khafa
Jaane tu baatein saari, katt ti hain raatein saari, jalte diye se ann bujhe
Uth uth ke raaton ko bhi, teri wafayein maangi, paya hai maine phir tujhe
Sajde kiye hai lakhon, lakhon duayein maangi, paya hai maine phir tujhe
Chahat ke kajal se, kismat ke kaagaz pe, apni wafayein likh zara
Chahat ke kajal se, kismat ke kaagaz pe, apni wafayein likh zara
Bole zamana yun, main tere jaisi hoon, tu bhi to mujhsa dikh zara
Mera hi saaya tu hai, mujh mein samaya tu hai, har pal yeh lagta hai mujhe
Khud ko mitaya maine, teri balayein maangi, paya hai maine phir tujhe
Chahe tu chahe mujhko, aisi adaayein maangi, paya hai maine phir tujhe