Sun Re Sajaniya Tere Sang Duniya
sun re sajaniya, tere sang duniya – 2
(sun re sajaniya, tere sang duniya, aise jaise har su bahaar hai
jiyaan nahi jaaye re, tere bin haaye re, tumsehi humko pyaar hai) – 2
ho socha kya kabhi yeh tumne
ke main tera kaun hoon
kabhi tune yeh socha kya
ke tu meri kaun hai
meri duniya mein teri tasveer hai bani
teri duniya mein meri kbhi bhi na thi kami
khud ko bachaaye re, humse chhupaaye re, aisa karna bekaar hai
jiyaan nahi jaaye re, hume tadpaaye re, kyun itna inkaar hai
sun re sajaniya, tere sang duniya, aise jaise har su bahaar hai
jiyaan nahi jaaye re, tere bin haaye re, tumsehi humko pyaar hai
ho kabse kya hai, kyun hai, kaise
yeh pata na tha na hai
par yeh jaane hum ke tumse, jindagi ka naata hai
humne jo kahaan woh tumne, sun ke bhi nahi suna
par yeh tera na sunna bhi, kyun hai humko hai pata
hame aajmaaye re, samajh na aaye re, aisa karna hi kya pyaar hai
jiyaan nahi jaaye re, tere liye kaaye re, tumsehi humko pyaar hai
sun re sajaniya, tere sang duniya, aise jaise har su bahaar hai
jiyaan nahi jaaye re, tere bin haaye re, tumsehi humko pyaar hai