Yeh Pal
Yeh pal, jo hain woh haadse hain
Ya phir likhe yunhi the
Tai hue the pehle hi
Ya phir yeh tai nahi the
Apne begasne, rishton ke maane ko pehchaana
Mrigtrishna hai yeh, duniya zamana humne jaana
Kyun gire hain toot ke jab jude hum kabhi bhi nahi the, nahi the
Simti lipti sehmi si bezaar, bezaar
Kyun hai zindagi
Yun hi ghut ke
Jeenay ka hi naam, hi naam
Kyun hai zindagi
Kya bataayen ye rang bhari
Haseen titliyon si kabhi thi
Rengte ke chuon jaise, toh nahi thi
Hoo iss pe na jaane
Kin galtiyon ka hai jurmaana
Mrigtrishna hai yeh
Duniya zamana humne jaana
Kyun gire hain toot ke jab jude hum kabhi bhi nahi the, nahi the