Lyrics of song

Muskurake Dekh Zara

Muskurake dekh, zara muskurake dekh
Haye muskurake dekh zara
Muskuraye raat ke baad hi subah
Muskuraye kaanton mein phool manchala
Mushkilein to mehmaan hai, mushkilein to aasan hai
Sharrt bas itni hai, unpe to muskaye
Muskurake dekh, zara muskurake dekh, muskurake dekh zara

Tuta ik tara, khali kahan hai aasman
Aankhon ho armaan, hass ta rahe jo dil sada
Hass hass ke yaara, hass hass ke yaara
Gum ko zara tu rula ke dekh
Muskurake dekh, zara muskurake dekh haye muskurake dekh zara

Hass te honthon pe roti ye aankhein khoob hai
Gum hi khushi ka sach poocho to mehboob hai
Daaman khushi ka, daaman khushi ka
Usme to gum ko saja ke dekh
Muskurake dekh, zara muskurake dekh, muskurake dekh zara

Jaage hai chanda aur khwabon mein khoya jahan
Jalke suraj bhi roshan kare saara jahan
Tu unke jaisa, tu unke jaisa
Inn raaton mein jagmagake dekh
Muskurake dekh, zara muskurake dekh, muskurake dekh zara

Rokey kismat pe tu aise hi na baithna
Khayi hai thokar kyun dil ne bhi ye sochna
Dil ko laga par ooo dil ko laga par
Duniya ko bhi aasma ke dekh
Muskurake dekh, zara muskurake dekh haye muskurake dekh zara

Muskuraye raat ke baad hi subah
Muskuraye kaanton mein phool manchala
Mushkilein to mehmaan hai, mushkilein to aasan hai
Sharrt bas itni hai, unpe to muskaye
Muskurake dekh, zara muskurake dekh haye muskurake dekh zara

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *