Lyrics of song
Luut Liya … Kisi Garib Ka Ghar
luut liya luut liya
kisi garib ka ghar baadshaah ne luut liya
karuun main kis se gila jab khuda ne luut liya
kisi garib ka ghar
lahuu se dil ke jalaaya tha jo chiraag hamane
isi chiraag ko zaalim hawa ne luut liya
kisi garib ka ghar
duhaai hai insaaf ki duhaai hai
ki ek fakir ko aalampana ne luut liya
karuun main kis se gila jab khuda ne luut liya