Humne Khamoshi Se Tumhen
(humne khamoshi se tumhen dil mein basaya hain) – 2
hona khabar ab kisi aur ko tumhe apana banaya hain
(humne khamoshi se tumhen dil mein basaya hain) – 2
(dil ke dhadakne se darr mujhko lagata hai duniya na ye jaan jaye
chahe jo koi toh chehara chhupale chahat magar chhup na paye) – 2
apani mohabbat ko maine to dil mein kabse chhupaya hai
(humne khamoshi se tumhen dil mein basaya hain) – 2
(palkon ki chilman mein iss dil ki dhadkan mein tumko chhupa ke rakhunga
khwabon ke daaman mein yaadon ke darpan mein tumko basake rakhunga) – 2
mudke jahaan jab bhi dekha sanam bas tumko hi paaya hai
(Humne khamoshi se tumhen dil mein basaya hain) – 2
hona khabar ab kisi aur ko tumhen apana banaya hai
(Humne khamoshi se tumhen dil mein basaya hain) – 2