Sabko Maloom Hai Main Sharabi Nahi
Sabko malum hai main sharabi nahi phir bi koi pilaye to main kya karu – 2
sirf ek baar nazaron se nazare mile – 2
(aur kasam toot jaye to main kya karu) – 2
Mujhko maikash samajhte hai sab vaad-a-kash – 2
kyunki unaki tarah ladakhadata hoon main
mere rag rag mein nasha mohabbat ka hai – 3
jo samajh mein na aye to main kya karu
sirf ek bar nazaron se nazare mile – 2
(aur kasam toot jaye to main kya karu) – 2
Haal sunkar mera sehme sehme hai woh – 2
koi aaya hai zulfe bikhere hue
maut aur zindagi dono hairan hai – 3
dum nikal ne na paye toh main kya karu
sirf ek bar nazaron se nazare mile – 2
(aur kasam toot jaye to main kya karu) – 2
dum nikale na paye main kya karu
Kaisi lat kaisi chahat kaha ki khata – 2
bekhudi mein hai anabar khudika nasha
zindagi ek nashe ke siva kuchh nahi – 3
tumko peena na aaye to main kya karu
sirf ek baar nazaron se nazare mile – 2
(aur kasam toot jaye to main kya karu) – 2
Sabko malum hai main sharabi nahi phir bi koi pilaye to main kya karu – 2