Lyrics of song

Kuchh Aisa Chhed Umangon Ka Rang

kuchh aisa chhed umangon ka raag aaj ki raat
ke jaaye khwaab jawaani ke jaag aaj ki raat
zamaana jisko mohabbat ki aag kehta hai
dil-o-jigar mein laga den wo aag aaj ki raat

( tujhe dekh ke machal gaya aaj mera man
mere dil ki paayal baaje saiyaan chhan chhan chhan
mere dil ki paayal baaje saiyaan chhan chhan chhan )  -2

wo muskuraaye inaayat isi ko kahate hain
nazar churaaye sharaarat isi ko kahate hain
ye meethi aankh michauli ye dillagi ye ada
aji huzuur muhabbat isi ko kahate hain

( tujhe dekh ke machal gaya aaj mera man
mere dil ki paayal baaje saiyaan chhan chhan chhan
mere dil ki paayal baaje saiyaan chhan chhan chhan )  -2

tu hai saleem mera main teri anaarakali
qubuul kar meri ulfat ki purabahaar kali
o taajadaar mere ishq ki bahaar hai tu
khila de aaj mere dil ki bekaraar kali

( tujhe dekh ke machal gaya aaj mera man
mere dil ki paayal baaje saiyaan chhan chhan chhan
mere dil ki paayal baaje saiyaan chhan chhan chhan )  -2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *