Lyrics of song

Chaar Din Ki Chaandani

( chaar din ki chaandani thi phir andheri raat hai
ham idhar hain wo udhar hain beqasi ka saath hai )  -2

kya khabar thi unka daaman haath se chhut jaayega
gam ke haathon zindagi ka kaaravaan lut jaayega
dil laga kar gam uthaayen kya anokhi baat hai

chaar din ki chaandani thi phir andheri raat hai
ham idhar hain wo udhar hain beqasi ka saath hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *