Dheere Re Aaja Ri
dheere se aaja ri ankhiyan mein 
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja 
chhote se nainan ki bagiyan mein 
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja 
o … 
lekar suhaane sapanon ki kaliyaan, sapanon ki kaliyaan 
aake basa de palakon ki galiyaan, palakon ki galiyaan 
palakon ki chhoti si galiyan mein 
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja 
dheere se … 
o … 
taaron se chhup kar taaron se choree, taaron se chori 
deti hai rajani chanda ko loree, chanda ko lori 
hansata hai chanda bhi nindiyan mein 
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja 
dheere se … 
Sad Version : Duet Song
dheere se aaja ri ankhiyan mein 
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja 
chhote se nainan ki bagiyan mein 
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja 
o … 
aankhen to sab ki hain ik jaisi 
jaisi ameeron kee, gareebon ki vaisi 
palakon ki sooni si galiyan mein 
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja 
dheere se … 
o … 
jagati hai ankhiyaan soti hai qismat, soti hai qismat 
dushman gareebon ki hoti hai qismat, hoti hai qismat 
dam bhar gareebon ki kutiyan mein 
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja 
dheere se …
