Duniya Mein Har Kisi Ki
duniya mein har kisi ki kismat juda-juda hain 
ek motiyon se khele ek khak mein mila hai 
ek wo hai jo maze se phoolon pe so raha hai 
aur doosra bichaara kaaton pe ro raha hai 
aji tum hi kaho ye kaisa insaaf ho raha hai 
duniya mein har kisi ki … 
paisa hai paas jis ke duniya hai us ke bas mein 
duniya usi ko maane jo khaaye jhooti kasmein 
aji tum hi kaho samajh kar achchhi hain kya ye rasmein 
duniya mein har kisi ki … 
sab ek jagah pe baithe har koi ek saa 
ooncha na koi neecha chhota ho na bada ho 
ban jaaye saari duniya ek ghar to kya maza hai 
duniya mein har kisi ki …
