Ek Chanchal Shokh Haseena
ek chanchal shokh haseena mere sapnon mein aaye 
mujhe ek jhalak dikhala ke vo mere dil ka chain churaaye 
honthon se madira chalke gaalon pe hain angaare 
phoolon ke jaisi khilti javaani naina nasheele hain kajaraare 
jaise ki naagin dole aaise chale balkhaake 
madhosh kar de mujhko jo vo sharma ke 
kabhi khulen jo zulfen usaki ghata see chhaaye 
ek chanchal shokh haseena … 
jheel mein khilta ek kamal vo hai kisi shaayar ki gazal 
baahen utha ke le angdaai dil mein macha de halchal 
pariyon ki vo shehzaadi chehra hai bhola bhala 
dekha hai jab se usko main ho gaya matvaala 
yahi duaaen maangu har pal vo mujhko mil jaaye 
ek chanchal shokh haseena …
