Ho Duur Desh Se Aa Jaa Re
o……..
ho duur desh se aa jaa re – 2
aa jaa re, aa jaa re,
mose rahaa nahin jaaye – 2
main morani mar jaauungi
aa………
taane de mohe saratiyaa ??
mori basi hansi udaaye
chhod ke jo jaaye paradesi – 2
paachhe laut na aaye – 2
aa ke dhir bandhaa jaa re
aa jaa re, aa jaa re,
mose rahaa nahin jaaye – 2
main morani mar jaauungi
aa……..
ban-ban bhatakuun rain-diwas
jiyaa kis bidh chal naahin paaye
nagari jo suuni bhayi – 2
phir nainaa kyuun bhar aaye
nainaa kyuun bhar aaye
nainon ki pyaas bujhaa jaa re – 2
aa jaa re, aa jaa re,
mose rahaa nahin jaaye – 2
main morani mar jaauungi
aa……..
umad-umad kar badaliyaan baras-baras tarasaayen
saawan ki ye sautane – 2
mohe aathon pahar jalaayen
aathon pahar jalaayen
saawan ko samajhaa jaa re – 2
aa jaa re, aa jaa re,
mose rahaa nahin jaaye – 2
main morani mar jaauungi