Mehbooba Teri Tasveer
mehbooba teri tasveer kis tarah main banaau  -2 
teri zulfon ki daastaan kis tarah main sunaau
mehbooba teri tasveer … 
tere lie kahuun koi baat tere lie sochuun koi naam 
main to bas diivaana ho gaya nahi mere bas ka ye kaam 
tere jaisa koi kahiin dekha na suna hai 
mehbooba teri tasveer …
dhaare maujen rut aur jaam nagmein paimaane but aur phuul 
sab teri raahon ki kaaq sab tere qadamon ki dhuul 
tere jaisa koi kahiin dekha na suna hai 
mehbooba teri tasveer … 
nazaron ne dekha hai tujhe aata nahi phir bhi yaqiin 
kyonki meri duniya ke log hote nahi itane hasiin 
tere jaisa koi kahiin dekha na suna hai 
mehbooba teri tasveer …
