Lyrics of song

Aa Intazaar Hai Tera

aa intazaar hai tera
dil beqaraar hai mera – 2

aaja na sata aur
aaja na rula aur – 2

aaja ki tu hi hai meri ummid ka taara
ummid ka taara – 2
sangam meri kushiyon ka nigaahon ka sahaara

aa intazaar hai tera
dil beqaraar hai mera – 2

aakar meri jaagi huyi raaton ko sula de
kho jaauun,  kho jaauun mujhe aisa koyi git suna de
aa intazaar hai tera
dil beqaraar hai mera – 2
aaja aajaa

ab aur sitam,
ab aur sitam ham se uthaaye nahin jaate – 2
aa aa aa aa
aur raaz mohabbat ke,
aur raaz mohabbat ke chhupaaye nahin jaate
chhupaaye nahin jaate
aa intazaar hai tera
dil beqaraar hai mera – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *