Lyrics of song

Aankhon Mein Kaajal Tera

ghata pe jhoomta baadal nahi toh kuchh bhi nahi – 2
tumhari aankh mein kaajal nahi toh kuchh bhi nahi
aankhon mein kaajal tera dilkash nazara laga
dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga

kaliyaan nayi ho gayi har gul kunwara laga

kaliyaan khila deti hain ek muskurahat teri
hamari aankhon mein apana khumaar rehne de
tamaam umra tera karzdaar rehne de
kaliyaan khila deti hain ek muskurahat teri
nagmein jaga deti hain halki si aahat teri
tu hi mera chaand hai tu hi sitaara laga
dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga
aankhon mein kaajal tera dilkash nazara laga

tu hai mohabbat meri tu hai ibaadat meri
sabhi ke dil mein tere husn ki hukumat hai

ke saari duniya mein tu sabse khubsurat hain
ho tu hai mohabbat meri tu hai ibaadat meri
tu hi mera pyar hain tu hi zarurat meri
aankhon ki thandak hai tu dil ka sahara laga
dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga
aankhon mein kaajal tera dilkash nazara laga

yeh bheegi zulfen teri jaise gagan mein ghata
kesuon ko chehre par aapane bikhera hai – 2
hasraton ki duniya mein dur tak andhera hai
yeh bheegi zulfen teri jaise gagan mein ghata
yeh mehki saansen teri jaise chaman mein hawa
tere bina yeh jahaan berand saara laga
dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga
aankhon mein kaajal tera dilkash nazara laga
dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga
kaliyaan nayi ho gayi har gul kunwara laga
dekha jo chehra tera haai mausam bhi pyara laga

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *