Lyrics of song

Ai Gardish-e-zamaana Kab Tak Ye Gam Sahenge

ai gardish-e-jamaana   kab tak ye gam sahenge
wo din nahin rahe toye bhi nahin rahenge

ab kya bachegi duniya ab hoga kya savera
kuchh sujhata nahin hai   chhaaya hai wo andhera
maayuus ho na itanahone ko hai savera
allaah to le raha hai   ye imtahaan tera
maalik pe rakh bharosa  ye tujhase ham kahenge

ab ek pal bhi jinamujhako nahin ganvaara
ai maut tu kahaan hai   ab de mujhe sahaara
himmat se kaam le tuaahein na bhar kudaaraa??
ye kah raha hai tujh se  rahamat ka ye sitaara
sab door hain ki mushkil  ye din nahin rahenge

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *