Lyrics of song

Ashkon Pe Huwa Katam

ashkon pe huwa katam mere gam ka fasaana
rote huye anjaam pe rota hai zamaana
ashkon pe huwa katam

aayi jo hansi aankh mein to ban gae aansu
paani mein pada aag ka tuufaan chhupaana
ashkon pe huwa katam

ae daur-e-kizaan aa tujhe sine se laga luun
milta hai tere haal se kuchh mera fasaana
ashkon pe huwa katam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *