Bhanwara Madhuban Mein Mat Ja
e bhanwara
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja
abhi kamal ki kali khili na – 2
tu kyuun guunj raha re bhanwara – 2
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja
ruup-rang ka lobhi-rasiya – 2
sab ke gun mat ga o rasiye
sab ke gun mat ga
neh laga le ek kali se – 2
kali-kali mat ja re bhanware – 2
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja
kis kaaran tu pad gaya kaala – 2
itani baat bata o rasiya
itani baat bata
udana sikha nahin kali ne – 2
man mein dhiraj la re bhanwara – 2
madhuban mein mat ja re bhanwara
madhuban mein mat ja