Lyrics of song

chali Kaunse Desh Gujariya

t: chali kaunse desh gujariya tu saj-dhaj ke – 2
a: jaaun piya ke desh o rasiya main saj-dhaj ke – 2
t: chali kaunse desh gujariya tu saj-dhaj ke

t: chhalken maat-pita ki ankhiyaan
rove tere bachapan ki sakhiyaan
bhaiya kare pukaar ho
bhaiya kare pukaar na ja ghar-aangan taj ke
a: jaaoon piya ke desh o rasiya main saj-dhaj ke
t: chali kaunase desh gujariya tu saj-dhaj ke

a: door desh mere pi ki nazariya
vo unki main unki sanvariya
baandhi lagan ki dor ho
baandhi lagan ki dor mainne sab soch-samajhake
jaaoon piya ke desh o rasiya main saj-dhaj ke
t: chali kaunase desh gujariya tu saj-dhaj ke

ta: do din jag mein dhoom machaayen
ja ke koi vapas na aaye
khoj khoj thak jaayen ho
khoj khoj thak jaayen do naina chaand suraj ke
a: jaaoon piya ke desh o rasiya main saj-dhaj ke
t: chali kaunase desh gujariya tu saj-dhaj ke

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *