Lyrics of song

khudaa- e – bartar Teri Zamin Par

khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai
har ek fatah-o-zafar ke daaman pe Khoon-e-insaaN kaa rang kyoN hai

zamin bhi teri, hain ham bhi tere, ye milkiyat kaa savaal kyaa hai
ye qatl-o-KhooN kaa rivaaz kyoN hai, ye rasm-e-jang-o-jadaal kyaa hai
jinhe talab hai jahaan bhar ki, unhi kaa dil itnaa tang kyoN hai
khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

Ghareeb maaNo shareef behnoN ko amn-o-izzat ki zindagi de
jinhe ataa ki hai tu ne taaqat, unhe hidaayat ki roshni de
saroN mein kibr-o-Ghuroor kyoN hain, diloN ke sheeshe pe jang kyoN hai
khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

Khazaa ke raste pe jaanevaaloN ko bach ke aane ki raah denaa
diloN ke gulshan ujaD na jaaye, muhabbatoN ko panaah denaa
jahaaN mein jashn-e-vafaa ke badle, ye jashn-e-teer-o-tafang kyoN hai
khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai
har ek fatah-o-zafar ke daaman pe Khoon-e-insaaN kaa rang kyoN hai
khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *