Lyrics of song

Masoom Chehra

(Masoom Chehra Nigaahen Farebi
Labon Pe Hasni Aur Dil Mein Daga Hai) – 2
(Mile Dost Jisko Yahan Tere Jaisa..) – 2
Use Dushmanon Ki Zaroorat Hai Kya Hai
Masoom Chehra … Daga Hai

(Dil Tod Diya, Kyon Itna Bata De
Phir Baad Mein Bewafa Jo Chaahe Mujhko Saza De) – 2
(Teri Berukhi Se Pareshaan Hoon Mein) – 2
Na Aaye Samajh Mein Yeh Kya Maajra Hai
Masoom Chehra … Daga Hai

Kya Usko Kahen Jo Kasmon Ko Bhoole
Apno Se Karke Jafa, Gairon Ki Baahon Mein Jhoole
(Nazar Mein Basa Ke Nazar Pher Lena) – 2
Yeh Kaisi Mohabbat Yeh Kaisi Wafa Hai
Masoom Chehra … Daga Hai

Jo Bharta Nahin Woh Zakhm Diya Hai
(Mujhko Nahin Pyar Ko, Badnaam Tune Kiya Hai) – 2
(Jise Maine Pooja Maseeha Bana Ke) – 2
Na Tha Yeh Pata Pattharo Ka Bana Hai
Masoom … Daga Hai
Mile Dost Jisko Yahan Tere Jaisa
Use Dushmanon Ki Zaroorat Hai Kya Hai
Masoom Chehra … Daga Hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *