Lyrics of song

Mubaarak Eid Mubaarak

-MALE 1–
Assalaam alaikum assalaam
Eid ka hai yaaron yeh payaam
Hoye, assalaam alaikum assalaam
Eid ka hai yaaron yeh payaam
Yeh Eid ka tyohaar hai, khushiyon ka hai tyohaar – 2
Na tera hai na mera hai yeh sab ka hai tyohaar
Yeh pyaar ka paigaam hai yeh pyaar ka paigaam
Mubaarak Eid mubaarak, mubaarak Eid mubaarak – 2
(Chaahe voh rehman ho ya bhai apna ram
Hindu Muslim Sikh Isaai, sab ko hai salaam) – 2

–FEMALE–
Bas pyaar hi aaghaaz ho aur pyaar hi anjaam
Khushiyon ke is mausam ki kabhi na aaye shyaam

–MALE 1–
Yeh Eid ka tyohaar hai, khushiyon ka hai tyohaar
Na tera hai na mera hai yeh sab ka hai tyohaar
Yeh pyaar ka paigaam hai yeh pyaar ka paigaam
Mubaarak Eid mubaarak, mubaarak Eid mubaarak
Hoye, mubaarak Eid mubaarak, mubaarak Eid mubaarak
Ho ho ho ho, ho ho ho ho, ho ho ho ho ho – 2

–CHORUS–
Mubaarak Eid mubaarak, sabhi ko Eid mubaarak – 2

–MALE 1–
Ho, jo bhi samjhe pyaar ko
Voh hai sab ka yaar
Pyaar nahin to kuch bhi nahin
Pyaar se hai sansaar

–MALE 2–
(Oye Eid da jappi paake yaaron
Rab da shukar manaaye) – 2
Arre tera mera chadke yaaron sabno gale lagaaye
Ke main jhooth boliya, o ke main kufer toliya
O ke main jhooth boliya, ke main kufer toliya – 2

–FEMALE–
Yeh Eid ka tyohaar hai, khushiyon ka hai tyohaar
Na tera hai na mera hai yeh sab ka hai tyohaar

–MALE 1–
Yeh pyaar ka paigaam hai yeh pyaar ka paigaam
Mubaarak Eid mubaarak, hoye mubaarak Eid mubaarak

–FEMALE–
Mubaarak Eid mubaarak, mubaarak Eid mubaarak

–MALE 1–
Assalaam alaikum assalaam
Eid ka hai yaaron yeh payaam
Yeh Eid ka tyohaar hai, khushiyon ka hai tyohaar
Na tera hai na mera hai yeh sab ka hai tyohaar
Yeh pyaar ka paigaam hai yeh pyaar ka paigaam
Mubaarak Eid mubaarak, mubaarak Eid mubaarak – 2

–CHORUS–
Mubaarak Eid mubaarak, sabhi ko Eid mubaarak – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *