Main Pyar Ka Deewana
main pyar ka deewana sabse mujhe ulfat hain
har phool mera dil hain aur dil mein mohabbat hain
main pyaar ka deewana …
ghabra ke khizaa gujri aur daur naya aaya
insaan ke jeevan mein ik rang naya laaya
( seene mein nayi halchal ) -2
chehare pe bhi rangat hain
main pyaar ka deewana …
sunta hoon main leharon se sangeet bahaaron ke
dam lene ko rukta hoon saaye mein chanaaron ke
( kaante hon ki angaare ) -2 chalna meri aadat hai
main pyaar ka deewana …
tu kya hain mujhe ek din mil jaaye to main jaanoon
aur phool mere dil ka khil jaaye to main maanoon
( jalavon ka pujaari hoon ) -2 deedaar ki hasrat hain
main pyaar ka deewana …