Lyrics of song

Main Pyar Ka Deewana

main pyar ka deewana sabse mujhe ulfat hain
har phool mera dil hain aur dil mein mohabbat hain
main pyaar ka deewana …

ghabra ke khizaa gujri aur daur naya aaya
insaan ke jeevan mein ik rang naya laaya
( seene mein nayi halchal )  -2
chehare pe bhi rangat hain
main pyaar ka deewana …

sunta hoon main leharon se sangeet bahaaron ke
dam lene ko rukta hoon saaye mein chanaaron ke
( kaante hon ki angaare )  -2 chalna meri aadat hai
main pyaar ka deewana …

tu kya hain mujhe ek din mil jaaye to main jaanoon
aur phool mere dil ka khil jaaye to main maanoon
( jalavon ka pujaari hoon )  -2 deedaar ki hasrat hain
main pyaar ka deewana …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *