Lyrics of song

Aa Ja Ke Dil Tujh Ko Ro Ro Pukaare

aa ja ke dil tujh ko ro ro pukaare – 2
aise mere din na guzare guzaare
saajan aa ja, aa ja, aa ja ho saajan aa ja

god mein tera pyaar hai khele – 2
dil mein aramaanon ke mele – 2
bhige bhige naina hamaare – 2
phuut rahe hain dard tumhaare
saajan aa ja, aa ja, aa ja ho saajan aa ja

des paraaya log paraaye – 2
kaun hai jo mera gam khaaye – 2
roti huun is dard ke maare – 2
chhuut gaye sab saath sahaare
saajan aa ja, aa ja, aa ja ho saajan aa ja

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *