Lyrics of song

Aankhon Mein Basaya Tha

aankhon mein basaaya tha
(aankhon mein basaaya thaa, tumhein dil mein chhupaaya tha
aankhon mein basaaya thaa, tumhein dil mein chhupaaya tha
jab chahu tumhen dekhu, aaina banaaya thaa)  -2
aankhon mein basaaya thaa, tumhein dil mein chhupaaya tha

aankhon mein andhera hai, viraana sehara hai
na jaane mera vo chaand, kis shahar mein utara hai
jine ka bata tu hi, ab kya aramaan karuun
mar jaane ka ai dil, koi saamaan karuun
ik saath jiyenge ham
(ik saath jiyenge ham, kyon khvaab dikhaaya thaa) – 2
jab chaahuun dekhuun, aaiina banaaya tha

kya jaan sakoge tum din kaise guzarata hai
ik pal bhi nahi gujare, haan aise guzarata hai
na chain hi aata hai, na neend hi aati hai
teri yaad aati hai, aakar tadapaati hai
maine to tujhe jaanam
maine to tujhe jaanam palakon pe bithaaya tha – 2
jab chaahuun dekhuun, aaiina banaaya tha

hai e ho o
aankhon mein basaaya tha
(aankhon mein basaaya thaa, tumhen dil mein chhupaaya tha
aankhon mein basaaya thaa, tumhen dil mein chhupaaya tha
jab chaahuun tumhen dekhuun, aaiina banaaya tha ) – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *