Lyrics of song

Aawaaragi Ba-Rang-E-Tamaasha Buri Nahin

aawaaragi ba-rang-e-tamaasha buri nahin
zauq-e-nazar mile to ye duniya buri nahin

kahate hain teri zulf-e-parishaan ko zindagi
ai dost zindagi ki tamanna buri nahin

hai naakuda ka meri tabaahi se waasta
main jaanata huun niyat-e-dariya buri nahin

is rahazan-e-hayaat zamaane se duur chal
mar bhi gaye to chaadar-e-sahara buri nahin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *