Lyrics of song

Aayi Bhor Suhaani

aayi bhor suhaani
(bhor suhaani aayi aayi
bhor suhaani aayi) – 2
jaagi aasha

jaagi aasha
aur muskaayi
aayi bhor suhaani
bhor suhaani aayi aayi
bhor suhaani aayi

(raaton ke wo mithe sapane
sukh jiwan ka ban gaye apane) – 2
kaamanaayon ne karavat badali – 2
le kar phir angadaayi
aayi bhor suhaani
bhor suhaani aayi aayi
bhor suhaani aayi

man ki umangein badi diwaani
badi diwaani
raaja dekhein aur na raani – 2
man ki umangein badi diwaani
badi diwaani
khel banaaya jinaa-marana – 2
karake prem-sagaayi
aayi bhor suhaani
(bhor suhaani aayi aayi
bhor suhaani aayi) – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *