Lyrics of song

Aayi Milan Ki Bela

ra : a ha aayi milan ki bela dekho aayi
ban ke phool har kali muskuraai
a : a ha aayi milan ki bela dekho aayi
unse nain mile main sharmaayi
a ha aayi milan ki …

jaane kyon tez hui jaati hai dil ki dhadkan
chutkiyaan leti hai kyon seene mein meethi si chubhan
ra : pyaar jo karte hain hota hai yahi haal unka
dekhiye kya-kya dikhaayegi abhi dil ki lagan
a ha aayi milan ki …

aaj duniya mujhe kuch aur nazar aati hain
jis taraf dekhiye taqadeer muskuraati hain
a : pyaar ke rang mein rang jaate hain jab dilwale
dekhate-dekhate har cheez badal jaati hain
a ha aayi milan ki …

aaj sar se mera aanchal kyon uda jaata hain
mera dil kyon mere pehlu se khincha jaata hai
ra : muntazir hoga koi yaad kar raha hoga
dard sa uthata hain jab yaad kiya jaata hain
a ha aayi milan ki …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *