Lyrics of song

Ab Kaun Hain Mera

ab kaun hai mera kaho ab kaun hai mera  -2
fariyaad hai
fariyaad hai taqdeer ne loota hai basera
mera loota hai basera

barbaad hai dil, ujdaa hai aashaaon ka mela
hoon jag mein akela
barbaad hai dil
barabaad hai dil, ujda hai aashaaon ka mela
hoon jag mein akela
ujdi hui basti mein hai
ujdi hui basti mein hai har or andhera
ab kaun hai mera

(kya khatm na honge kabhi ye gam ke fasaane
furqat ke zamaane )  -2
kehte hain har ek raat ka
kehate hain har ek raat ka hota hai savera
ab kaun hai mera

tuney mujhe lootaa, teri duniya ne sataaya  -2
teri duniya ne sataaya
ab tu hi bata kya yahi
ab tu hi bata kya yahi insaaf hai tera
ab kaun hai mera

ab kaun hai mera kaho ab kaun hai mera
fariyaad hai
fariyaad hai taqdeer ne loota hai basera
mera loota hai basera
fariyaad hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *