Ab Kya Ho Anjaam
milte milte ham dono yu ho baithe deewane 
ik dooje ke pyaar mein khoye duniya se begaane 
ab kya ho anjaam hamaara ye to rab hi jaane 
khaayi hai kasam aai hamsafar 
mar jaayenge tumhein na pa sake ham agar 
o khaayi hai kasam … 
kehane lagi ye zindagi sapne bahaaron ke bun lo 
lag kar mere seene se tum is dil ka paigaam sun lo 
hosh khone lage dil mein toofan jage 
aaj hamse to kuch na kaho 
manzilein pyaar ki de rahi hain sada 
bas yu hi saath chalte raho 
ab kya ho anjaam … 
naazuk hai dil kaanch sa patthar ke jaisi hain rasmein 
tum saath ho jab tak sanam rasmein hain sab apne bas mein 
ik ho jaayenge rasmon ko todkar 
is jahaan se darenge na ham 
pyaar ke vaaste jaan jaaye magar bewafaai karenge na ham 
ab kya ho anjaam …
