Lyrics of song

Duniya Banane Wale

duniya banaane vaale raamoji
gazab sa hai tera intazaam
duniya banaane vaale raamoji
gazab sa hai tera intazaam

roshani karane ko roz sooraj aata
raat ko chup-chaap chaand pahara lagaata
daso dishaaon mein pavan jam ke dhulaataa(?)
laakh parindon ka bheed jhoom ke gaata
vaah re vaah re daata
are vaah re vaah re daata kya koob tera kaam
duniya banaane vaale raamoji …

ajab tera jaadu hai ajab tera khel
jalate hain taaron ke diye roz bina tel
aag ka hota nahi paani se kabhi mel
phir bhi baadalon mein lagi bijaliyon ki bel
gahare samandar ke bhi andar hai dhoom dhaam
duniya banaane vaale raamoji …

kuch zaroor hai teri kudarat mein karaamaat
kuch zaroor hai
kuch zaroor hai teri kudarat mein karaamaat
tere ishaare pe yahaan ban rahi har baat
ye zameen ye gagan, ye prakash ye pavan
ye samudr ye pahaad ye bhi ?
tu ne har ik pe ? di hai bina daam
duniya banaane vaale raamoji …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *